Mit jaegi hasti teri bhi ek din aur meri bhi ek din
Har zidd puri hone ki tamanna na kar,
Har khwahish ko jine ki tamnna na kar,
Koi ata hai tere pas khud ko bhi chor ke,
Us saksh ko aazmane ki kabhi tamnna na kar,
Mana ki hai tere pas har vo chije,
Jisse kharid sakti hai tu apni phchan aur azzadi magar,
Pyar ko kharid pane ki kabhi tamanna na kar,
Maine to khuda ko bhi chorne ki himmat dikhai hai tere liye
Khuda se un hisabo ko chhupane ki tamanna na kar
Manga tha maine khuda se tujhe har ek din
Un duao ko tod dene ki chah rakhti ho thik hai magar,
Us dua me tujhe mahfooz rakhne ki bat rakhi hai maine
Un duao ko tod ke khud bikhar jane ki tamnna na kar,
Tut kar bikhar jaegi ek din itna imtehaan lene ka sauk achi nahi
Todkar kisi saksh ko dil bahlane ki tamnna na kar,
Tu bol ke dekh agar zindgi tere liye puri kurban na ki to,
Magar us zindagi ke sath khel jane ki tamnna na kar.
Ek din har vo sauk dhal jaega jo usool lagte hai tujhe aaj
In bato me zindagi banane ki tamnna na kar,
Khuda meharban nahi hote har din use aur bhi kaam hai,
Kismat se mila is dua ko chhor jane ki tamnna na kar
Zindgi me kuch bhi Saswat nahi hai, na tera mukam rahega na teri ye bate,
In bato ko lekar kisi ko pane ki tamnna na kar,
Mit jaegi hasti teri bhi ek din aur meri bhi ek din,
Is hasti se kisi ko girane ki tamnna na kar.
